Kanz e Aza

Labon Pe Aaj Bhi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

labon pe aaj bhi hai jaise gham sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka


sadayein aaj bhi deewar o dar se aati hai

ke jaise karte hai matam haram sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...


wo uske baad riha ho saki na zindan se

gaya kuch aise khafas mein khadam sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...


ye kehke sayyede sajjad khoon rote thay

sitam zyada tha aur sin tha kam sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...


in aandhiyon mein larzti thi ek lau itni

wo taaziane wo nanha sa alam sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...


wo shor karti hui bediyon ka tham jaana

sada lagana khuda ki qasam sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...


udhar ke lafz e do aalam ubhar rahi hai naved

idhar khafas mein labon par hai dam sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...


jo nauhe padta hai sajid naved likhta hai

sada hai dono pe eksa karam sakina ka

andhera yaad dilaata hai gham sakina ka

labon pe aaj bhi...