sab jal chuke qayam
bikhri hui hai raat sisakta hai ban tamam
sab jal chuke...
suraj ke sar se khaynchli shab ne rida-e-shaam
sab jal chuke...
qaimon ko apne laut chuki zulm ki sipaah
khoon se zameen surq hui aag se siyaah
uth'te hue dhuwein se falak hai siyaah faam
sab jal chuke...
tareek raaston se dehelte hai bewatan
kano may aa rahi hai sada-e-bizan bizan
sab mehro maah leke kahin chup gayi hai shaam
sab jal chuke...
qasim sa naujawan ali asghar sa maahroo
abbas sa jari ali akbar sa khush guloo
kya kya charaag thay jinhe roti rahegi shaam
sab jal chuke...
baithe hue raakh pe jhul se hue badan
sehme hue thakay hue dukhte hue badan
ay raat zakhm zakhm bilakte huon ko thaam
sab jal chuke...
ankhon ke saamne hi baha asr tak lahoo
ankhon ke saamne hi lagi aaj chaar soo
ye khoon ye aag jheylne bano tumhe salaam
sab jal chuke...
aata hua sawaar jo dekha suye qayam
goonji sada-e-dukhtare zehra-e-nayk naam
baba mera salaam lo baba mera salaam
sab jal chuke...
sar ko jhukaye khaakh par baitha hai ek jawan
gardan may tauq paon se lipti hai bediyan
hai zer ab naved ye awaaz e shaam shaam
sab jal chuke...