Kanz e Aza

Sajjad Utho Bali Sakina

A noha for Shaam e Ghareeba. Lyrics in Roman Urdu.

sajjad utho pyasi sakina ko sambhalo

ye shaam e ghariban hai gharibon ko bachalo


jal jaaye na qaimo mein kahin aale payambar

in aag ke sholon se hamein aa ke nikalo

sajjad utho...


kulsoom ko farwa ko bachati hoo sitam se

tum khaak pe baithe huwe bachon ko sambhalo

sajjad utho...


hasrat se wo zainab ki taraf dekh raha hai

aaghosh mein baqir ko ay sajjad chupalo

sajjad utho...


kooza liye pani ka ye kehti hai sakina

asghar ho kahan aa ke zara pyaas bujhalo

sajjad utho...


lut jaungi pardes mein ye mujhko khabar thi

mai ho gayi barbaad mujhe aa ke bachalo

sajjad utho...


kuch khaak uda kar ay bayanban ki hawaon

be-parda nabi zaadiyon ka parda banalo

sajjad utho...