Kanz e Aza

Shaam e Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

kaunain ki shehzadiyan hai

be-sar o saaman


ye shaam e ghariban hai

aray shaam e ghariban

kaunain ki shehzadiya hai besaro saman


hai khoon mein doobe huwe seh roz ke pyase

maidan mein har simt hai bikhre huwe laashe

manzar ye qayamat ke sada dete hai roke

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...


afsos ke maara gaya ek raat ka dulha

tar khoon mein sehra hua raundha gaya laasha

kal shaadi hui jiski wo shehzadi hai bewa

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...


wo maa ke jawan sher sa ek beta tha jiska

dil thaame huwe karti hai ro ro ke ye nauha

kehti hai tadap kar kahan dhoondun tujhe beta

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...


kal godh mein jis maa ke tha ek chand sa beta

roti hai ajab karb se wo ghamzada dukhiya

ujdi hui godi mein hai ujda hua jhoola

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...


shabbir sulaate thay jise seene pe apne

jis bachi ko paala tha bahot pyar se sheh ne

ab dasht mein khaati hai wohi bachi tamache

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...


jo binte ali khwahar e abbas e jari hai

jo chadar e tatheer ke saaye mein pali hai

be maqna o chadar sar e maidan khadi hai

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...


mazloomo yateemo ka hai jo khaafela salaar

wo tashna dahan jo hai kayi roz se beemar

pehnaya gaya haye usay tauq e garabaar

ye shaam e ghariban hai...

kaunain ki shehzadiya hai...