wajib hai gham manaye zamana hussain ka
raahe khuda may lutgaya kunba hussain ka
hote rahenge sajde khuda ko jahan may
sajjad ne nibha diya wada hussain ka
wajib hai gham…
manzar wo karbnaak qayamat se kam nahi
maqtal ke simt qaimon se jaana hussain ka
wajib hai gham…
abbas mar gaye ali akbar bhi mar gaye
qaime may koi laaye janaza hussain ka
wajib hai gham…
ghode yazeedi fauj ne daudaye is tarha
pamaal ran may ho gaya laasha hussain ka
wajib hai gham…
aati nahi hai neend sakina ko khaak par
ran may gayi hai dhoonde laasha hussain ka
wajib hai gham…
ta hashr ab namaz ka zaamin hai ab gohar
jalti zameen pe aakhri sajda hussain ka
wajib hai gham…