baad e hussain dasht mein mehshar bapa hua
chane laga har simt se ghan ghor andhera
qaime jale ridayein chini haye kya hua
pardes mein loota gaya zahra ka gharana
aayi shaam e ghariban
kya gham ka hai samaa aayi shaam e ghariban
laashe pe jawan laal ke kehti rahi bano
sehra bhi tera dekh na paayi tu chal basa
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
jalte hue qaimon se jo uth'ta raha dhuan
hairan o pareshan tha shabbir ka kunba
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
laashe ke tukde bikhre pade thay zameen par
pamaal is tarha hua dulhe ka sarapa
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
bhai ko apne dhoondti thi dashte bala mein
haaton mein liye pani ke kooze ko sakina
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
barsa rahe thay jism pe bemaar ke kode
is aalam e ghurbat mein kiya shukr ka sajda
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
ye keh rahi thi shaah ki khwahar labe furaat
abbas dekho sar se meri chin gayi rida
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
naize chubote jaate thay durre lagate thay
aale nabi pe hoti rahi raat bhar jafa
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…
ahmed ye shaam roze qayamat se kam nahi
mohsin jo qaid hogaya ahmed ka gharana
kya gham ka hai samaa...
aayi shaam e ghariban…