bikhre laashe maqtal dekho taare toote
pyase bacche hai
de do ali zainab ko sahara
shaam e ghariban hai
jalta kurta jalti masnad jalte qaime
aur andhera hai
dard ka maara rab ko pukara
shaam e ghariban hai...
barchi lagi aur gurz laga zakhmi kaleja
dil bhi phat'ta hai
doobta dil saahil pe pukara
shaam e ghariban hai...
dard ka manzar khoon mein bhara hai manka dhala hai
nanha mujahid hai
teer ki zad par nanha dulaara
shaam e ghariban hai...
qaime hat'te to taa'ate sheh mein sar bhi jhukaya
baazu kataya hai
saqqa hai saahil ka kinara
shaam e ghariban hai...
abre sitam sar par hai barasta shole bhadakte
aag ka darya hai
haal hai kya zainab ka khudara
shaam e ghariban hai...
ban mein thi zehra ki sada ye kunba ujda
bikhri dunya hai
koi nahi dunya mein hamara
shaam e ghariban hai...
aun o mohamed o qasim o akbar bhai nahi hai
tanha zainab hai
karti hai qaimon ka talaaya
shaam e ghariban hai...
zulm o sitam zainab par dhaaya aag lagayi
gham ka sharara hai
aagaya beti baap tumhara
shaam e ghariban hai...
khoon ka darya dard ka toofan
shaam e ghariban hai
sakta zameen to arsh hai hairaan
shaam e ghariban hai...
bali sakina dhoondne nikli baap ko apne
seena phat'ta hai
lab pe hai iqbal ke nauha
shaam e ghariban hai...