shaam e ghariban jalte qaime uth'ta dhuaan
aun o muhamed ki wo maa
aayi sajjad ke qaime mein
kaha shaana hila kar rote huwe
aabaad rahegi karbobala
chal shaam kare aabaad
uth jaa mere sajjad
mera maajaya nahi aaya
sun zainab ki faryad
uth jaa mere sajjad
amma ka haath gale par tha
door se dekha tha maine
maqtal mein sookhi gardan par
jab shimr ne tera waar kiye
woh bhai mera wavaila
maara gaya pyasa wavaila
jis bhai par qurban hui
pyasi meri aulaad
uth jaa mere sajjad...
qaimon mein hi jal jaaye ya
qaimon se nikal jaaye baahar
kya hukm hai tera zainab ko
ek baar bata de tu uth kar
na qasim hai na asghar hai
abbas hai aur na akbar hai
bas tera sahara hai hum ko
bhaiya shabbir ke baad
uth jaa mere sajjad...
ye shaam e ghariban hai beta
teri pehli shaam imamat ki
teri saalaari mein shaam talak
karna hai safar ban kar qaid?
na mehmil hai na howdaj hai
na lashkar ki wo saj dhaj hai
jab haath bandhenge gardan se
ghazi aayega yaad
uth jaa mere sajjad...
be maqna o chaadar naaqe se
hamay jaana hai sajjad jahan
ay laal suno kaise hoga
sadaat ka isteqbaal wahan
baazaar mein aane se pehle
rokenge hamay darwaze pe
galiyon ko sajaaya jayega
naye honge sitam eejaad
uth jaa mere sajjad...
sajjad teri masoom behan
zaalim ke tamache khayegi
maangega kaneezi mein haakim
darbaar mein jab wo jayegi
mar jayegi durre kha kha kar
zindan mein usko dafna kar
tujhe rona hai chalees baras
na honge kabhi hum shaad
uth jaa mere sajjad...
ash shaam ash shaam ash shaam suna
aur aankhein kholi abid ne
zainab ne kaha ay zeeshan o
irfan sahara dete huwe
maqtal mein pade un laashon ka
chehlum karne un pyason ka
aayenge dobara karbobala
jab honge hum azaad
uth jaa mere sajjad...