ya ali ya aeliya ya bul-hasan ya bu-turab
bhai mera qatl huwa aaiye baba shitaab
bul hasan ya bu turab
lo phayl gaya shaam e ghariban ka andhera
asbaab luta jal gaya sadaat ka qaima
be gor-o-kafan ran mein hai shabbir ka laasha
sab maare gaye dasht mein zainab huwi tanha
asghar-e-baysheer ko rone lagi umme rabab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
haye wo behan jiske ho athara biradar
aur baap bhi jis beti ka ho faatahe khyber
narghe mein layeeno ke wo mazloom khule sar
kaise na kare nauha wo phir khaak uda kar
nauha kuna khuld mein hai rooh-e-risalat muaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
maari gayi ek roz mein sab fauj-e-hussaini
har lamha musibat thi nayi hum ne jo dekhi
be monis-o-ghamkhwar thay yawar na tha koyi
tha asr ka hangaam ke awaaz ye goonji
msara gaya hyder ka pisar dasht mein be aab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
ab bali sakina ko satate hai sitamgar
kuch kar nahi sakti ke rasan basta hai maadar
paband-e-salasil hai mera abid-e-muztar
zainab ke kaleje pe chale zulm ke khanjar
kya karoon baba mere mai dijiye kuch to jawab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
kat ke jo gire khaak pe abbas ke baazu
rukte hi na thay aankh mein shabbir ke aansu
mai qaime mein roti thi wo rote thay labe joo
matam hi tha matam hi tha matam tha hi tha harsu
kehte thay shabbir ke ya laitani kuntu turaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
akbar ka jigar ho gaya barchi se do paara
aur asghar-e-masoom bhi maara gaya pyasa
tukde huwa maidan mein naushah ka laasha
maara gaya wo sher jo tha sab ka sahara
aun o mohamad ka mila khaak mein kaisa shabaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
asghar ke laga teer mai roti rahi baba
maare gaye shabbir mai roti rahi baba
haste rahe be-peer mai roti rahi baba
sheh pe chali shamsheer mai roti rahi baba
dekhiye pardes mein kismat huvi meri kharaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...
rehaan bahot ho chuki ab ashq fishani
zainab pe musibat ki ye pur dard kahani
sab ehle aza sun chuke sarwar ki zubani
thamti hi nahi aankhon se ashqon ki rawani
kaun sune kissa-e-gham kis mein rahi itni taab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeliya...