ye waqia hai moharam ki gyara ka ba khuda
baghair gor o kafan thay shaheede karbobala
haram tamam thay chote bade rasan basta
na sar pa maqna-o-chadar na koi daad rasa
udoo ne aale nabi ko ye aake hukm diya
sawaar naaqon pe ho jao jaana hai koofa
sawaar naaqon pe...
wo naaqe aaye amaari kajawe jun pa na thay
ba jabr aale mohamed sawar unpe huwe
kahoon mai kis tarha ke haat pusht par thay bandhe
sagheer bache thay maa'on ki chatiyon se lagay
layeen bhagate thay naaqo ko is shaqawat se
na rak sakay kise bache ko maa hifazat se
na rak sakay kise...
dhuan tha khafila bacha jo koi girta tha
wo dekti thi usay aur wo maa ko takta tha
jo bacha girta tha naaqe se dab ke marta tha
sadaye ya ali ka ek shor ut'ta tha
udoo ye haadsa hone par bhi na rukte thay
bajaye rukne wo aur tayz chalte thay
bajaye rukne wo...
sakina gir gayi naaqe se ek shor utha
sare hussain meine naize ke zameen mein gada
kaha ye shimr ne abid se jaake poocho zara
sar ab ye kyun nahi chalta hai kya hua jo ruka
ye pooch kar mujhe batlao door jaana hai
lagi jo dayr to phir tum ho taziyana hai
lagi jo dayr to...
sambhale hatkadi aur bediyan bade sajjad
khareebe sar hue shabbir ke to ki faryad
nida ye sar ne ba-ejaaz di ke sun rudaad
sakina gir gayi naaqe se ban mein zainulliba
meri sakina ko jab tak na koi layega
sare hussain yahan se na aage jayega
sare hussain yahan se...
chali talaash ko jangal mein zainab e muztar
sadayein deti thi kis ja ho ay meri dilbar
ye ittefak se ek samt pad gayi jo nazar
ye dekha baithi hai ek bibi yun jhukaye sar
siyaah posh khule sar hai aur roti hai
sakina godh mein unki hai aur soti hai
sakina godh mein unki...
qareeb jaake ye zainab ne unse farmeina
tumhara shukriya ay bibi jo taras khaaya
is ek neki se parwana e irum paaya
magar ay mohsina chehra na apna dikhlaya
mai roze hashr jo dekhun to tum ko pehchanu
jo maango iske sile mein wo tum ko dilwadun
jo maango iske sile...
ye sunke sabr ka paymana bibi ka chalka
hata ke baalon ko rukh se ba dard-o-yaas kaha
mai teri maa hoo tu pehchan mujhko maahelakha
ay meri zainabe muztar salaam le maa ka
mala hai chehre pe apne hussain ka ye lahoo
tu soong le tere bhai ki is mein hai khusboo