khud ko dilaase ye deti thi sughra
ye waqt bhi guzar jayega
ye khaali hujre ye khamosh raatein
kaise bhula doo sakina ki baatein
samjha de tu apne dil ko ye dukhiya
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
di thi tasalli ye akbar ne mujhko
khat bhej kar mai bulalunga tujhko
ye sochte takti rehti hoo rasta
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
jee bhar ke asghar se kheli kahan mai
us ka humakna bhi bhooli kahan mai
khwabon mein aa kar ye kehta hai bhaiya
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
ro ro ke teen eidein maine guzaari
ashkon ki barsaat eidi mein paayi
kehta rehta mujhse gham ka ye darya
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
gin gin ke din zindagi ky guzarun
qasim ko ammu ko sab ko pukarun
yaadon ne har dam diya ye dilaasa
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
dadi ke marqad pe har roz jaa kar
maangun duayein diyon ko jala kar
samjhati rehti hai bas dadi zehra
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
mesum se mazhar ye kehta hai ro kar
veeran ghar mein thi sarwar ki dukhtar
nauha tha ya marsiya tha ye jumla
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...
aun o mohamed ke veeran hujre
rab jaane phir kab ye aabad honge
laut aayega ek din tera kunba
ye waqt bhi guzar jayega
khud ko dilaase ye...