chain sughra ko madine mein nahi aata tha
baap ki yaad mein dil uska phata jaata tha
roti thi tadapti thi buka karti thi sughra
tha fatema sughra ke labon par yehi nauha
kehti thi ye ro kar sughra
aajao watan ay baba
hai shehre madina soona
soona hai nabi ka rauza
hai charon taraf sannata
aajao watan ay baba...
main kaise bataun baba
din eid ka kaise guzra
aankhon se lahoo tha behta
aajao watan ay baba...
koi to taras ab khaaye
aakar ke mujhe le jaaye
kab tak mai rahungi tanha
aajao watan ay baba...
kis tarha sukoon mai paaun
dil kaise mai ab behlaun
asghar bhi nahi hai mera
aajao watan ay baba...
jhoola mai jhulati usko
seene se lagati usko
gar hota wo nanha bhaiya
aajao watan ay baba...
ye khwaab hai jab se dekha
mushkil mein hai mera kunba
hai tab se bahot hi sadma
aajao watan ay baba...
ab rok qalam ay waiz
seene mein nahi dam waiz
mushkil hai bahot ab likhna
aajao watan ay baba...