Kanz e Aza

Ay Mere Sher Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

roke zainab ne kaha ay mere sher abbas

chin gayi meri rida ay mere sher abbas


jab mere sar se rida cheen rahe thay aada

aisa lagta tha mujhe mera jari aayega

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

tu na aaya bhaiya ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


aag qaimon mein layeeno ne laga di aakar

durre barsaye sakina pe yehi keh keh kar

kahan hai ab tera chacha ay ghamzada ay ghamzada

ab kahan hai saqqa ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


shimr ne bali sakina ko tamache maare

aur mere saamne masoom ke cheene bunde

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

kuch na bas mera chala ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


mere ghazi mere haathon mein bandhi jab rassi

sar jhuka kar ke bahot dayr talak mai royi

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

rukh suye darya tha ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


ek rassi mein gala sab ka bandha tha bhai

haal us waqt sakina ka juda tha bhai

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

uska dam ghut'ta tha ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


jab tera khaali alam khoon mein dooba aaya

mai usi waqt se ye jaan gayi ay bhaiyya

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

ab to bas hogi jafa ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


mere ghayyur wafadaar mere shaydayi

ro rahi thi meri ghurbat pe meri tanhaai

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

has rahe thay aada ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


us ghadi mere kaleje se nikalta tha dhuaan

jab layeen kehte thay atthara baradar hai kahan

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

dil bahot rota tha ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


yaad aaya hai bahot ghar se nikalna mera

tere parcham ke talay shaan se chalna mera

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

jab khula sar mera ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


hum ko jab shaam ke bazaar mein maare patthar

aur dehakte huwe angaare jo daale hum par

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

tu bahot yaad aaya ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...


thokarein khaati rahi zainab e muztar waiz

zulm hote rahe har ek qadam par waiz

ay bawafa ay bawafa ay bawafa ay bawafa

bas yehi tha nauha ay mere sher abbas

chin gayi meri rida...

roke zainab ne kaha...