pyasa hai teen roz se kunba rasool ka
ay nehre alqama
kuch tujhse door bhi nahi pyason ka khaafila
ay nehre alqama
allah re wafa e alamdar e karbala
qabza kiya furaat pe pani nahi piya
ay nehre alqama
sookhi hui zaban se beti hussain ki
apne chacha ke waaste karti rahi dua
ay nehre alqama
hasrat se dekte rahe bache suye furaat
saqqa e ahlebait na qaime tak aa saka
ay nehre alqama
pani ke ek ghoonth ka karta hua sawaal
akbar sa naujawan pyasa chala gaya
ay nehre alqama
cheh maah ke sagheer ne khaya sitam ka teer
bano ke naunehaal ko pani nahi mila
ay nehre alqama
tu samne rawan thi tere hote sharm kar
pyasa gaya jahan se mohamed ka laadla
ay nehre alqama
aayega phir palat ke na zahra ka noor e ain
ab laakh karwate le wo lamha guzar gaya
ay nehre alqama