Kanz e Aza

Ay Raat Na Dhalna

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

ay raat na dhalna ke ujad jayegi zainab

bhai se dam e subho bichad jayegi zainab

ay raat na dhalna ke ujad jayegi zainab


sone de sakina ko ke phir so na sakegi

rona bhi jo chaahegi to phir ro na sakegi

asghar se mulakaat to phir ho na sakegi

ay raat na dhalna...


ghabraye huye laal hai sehmi hui maa'ein

jee bhar ke mai de doon ali akbar ko duayein

lena hai abhi aun o mohamad ki balayein

ay raat na dhalna...


ay raat bikhar ja tere bas may hai jahan tak

mit jayenge kal aal-e-payambar ke nishan tak

baaqi hai ye manzar ali akbar ki azan tak

ay raat na dhalna...


har chand ke bachon ki abhi pyaas hai baaqi

kuch aankh may hasrat hai to kuch aas hai baaqi

lekin mera bhai mera abbas hai baaqi

ay raat na dhalna...


baaqi hai abhi aal-e-mohamed ka safina

beti ke sulaane ko hai shabbir ka seena

jhoola ali asghar ka jhulaati hai sakina

ay raat na dhalna...


kal kaun sunega ye meri aah-o-buka bhi

hoga tahe khanjar mere bhai ka gala bhi

qaima to kuja sar pe na hogi ye rida bhi

ay raat na dhalna...


ay raat ghadi bhar ko tu rehne de sakoon may

ghir jayenge nasir mere aada ki safon may

ye chand se chehre to naha jayenge khoon may

ay raat na dhalna...