ay raakibe doshe shaahe lau laak
ba izz o wiqar wa hussaina
seene pa tumhare ya shahe paak
qatil ho sawaar wa hussaina
ay raakibe doshe...
farq aap ka aur sinaan e khooli
sar aap ka aur makaan e khooli
aalood e khaakh wo rukhe paak
zulfon may ghubaar wa hussaina
ay raakibe doshe...
ay khusrawe ko shaheer sad haif
ek tan tera laakhon teer sad haif
ghodon ke sumon wo jisme sad chaak
mai tere nisaar wa hussaina
ay raakibe doshe...
majrooh o al-amaan wo seena
zaanu wo kahan kahan wo seena
wo bosagahe payambar e lau laak
aur taygh ki dhaar wa hussaina
ay raakibe doshe...
khwahar teri anjuman may jaaye
beti teri aur tamache khaye
beta tera khaynche ya shahe paak
oonton ki mehaar wa hussaina
ay raakibe doshe...
kuch sirf ghayour rahi nahi hai
matam may tere har ek hazeen hai
ya shaah hai tere gham may ghamnaak
aflaak o behaar wa hussaina
ay raakibe doshe...