kis tarha se bayaan ho ghurbat hussain ki
chalne lagi jo halq pe mazloom ke churi
ek chaar saala bachi thi maidan mein khadi
sehme huwe qadam se suye shimr wo badi
kehti thi shimr dilbare zehra ko maar ke
tujhko milega kya mere baba ko maar ke
ran mein sakina kehti thi haathon ko jod ke
ay shimr rehm kar mere baba ko chod de
daulat ke waaste na inhe maar thehr ja
mat maar tu galay pe inhe waar thehr ja
mai de rahi hoo khud tujhe gohar utaar ke
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..
shayad yehi wajha hai jo kat’ta nahi gala
dadi ne khud galay pe gala hai rakha hua
lipti hui hai fatema baba hussain se
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..
pani mai baba jaan ko pila loo to zibha kar
godhi mein unke sar ko utha loo to zibah kar
laashe utha utha ke hai baba thake huwe
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..
zaanu hata de baba ke seene se is ghadhi
lene de chain se inhe saansein ye aakhri
bas baba jaane waale hai dunya ko chod ke
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..
hurr ki tarha se ab bhi tera intezar hai
un ki nazar mein tere liye ab bhi pyar hai
ab bhi muaaf kar denge ay shimr wo tujhe
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..
daadi pakad ke kyun tu tamache lagata hai
zehra ki betiyon ke dilon ko dukhata hai
kyun maarta hai bhai ko behno ke saamne
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..
sajjad uske saamne kat'ta raha gala
karti rahi wo minnatein khanjar nahi ruka
sarwar bhi apni beti ki ghurbat pe rote thay
ay shimr rehm kar mere...
ran mein sakina kehti thi..