Kanz e Aza

Bhai Mar Gaya Zainab

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

ro ke shaah kehte thay bhai mar gaya zainab

jhuk gayi kamar meri chin gaya asa zainab


hum ko bhi ijazat do hum bhi jaaye dunya se

hum ko ab nahi jeena kaun hai mera zainab

ro ke shaah kehte thay...


chand jaise chehre par zakhm lag gaya us ke

jab wo zeen se ghode ki moo ke bal gira zainab

ro ke shaah kehte thay...


laashe ki tarha rakh kar qaime may alam bole

ab yehi janaza hai mere sher ka zainab

ro ke shaah kehte thay...


jis ne mere haathon par apni aankhein kholi thi

aaj usi ka godhi may dam nikal gaya zainab

ro ke shaah kehte thay...


maine apne haathon se uske haath uthaye hai

tukde tukde aada ne usko kar diya zainab

ro ke shaah kehte thay...


raat bhar jo pehre par mere hota tha bibi

aaj mujhse pehle wo ban may so gaya zainab

ro ke shaah kehte thay...


wo jo saare laashon ko ran se le ke aaya tha

us ka laasha darya se mai na laa saka zainab

ro ke shaah kehte thay...


yaad hai tumhe bibi ek sada pe aata tha

aaj hum uthaate thay wo nahi utha zainab

ro ke shaah kehte thay...


kaise ho bayan sajjad sheh ne jab kaha ro kar

zakhm ho gaya taaza aaj baba ka zainab

ro ke shaah kehte thay...