ghareeb baba ghareeb beti
wo be-kafan tha ye be-rida thi
ghareeb baba ghareeb beti
tamache dono ne ban may khaaye
hai dono pehlu shikasta haye
wo ibne zehra ye zehra jaisi
ghareeb baba ghareeb beti...
musalla baba ka ye bichaati
hussain dete thay isko lori
ye uski aadi wo iska aadi
ghareeb baba ghareeb beti...
tha usko maara rula rula ke
bahaya pani isay dikha ke
tha wo bhi pyasa hai ye bhi pyasi
ghareeb baba ghareeb beti...
huwe jo khanjar ke waar sheh par
khadi thi pehlu may unki dukhtar
wo jitna tadpe ye utna royi
ghareeb baba ghareeb beti...
ye durre zaalim se kha rahi hai
padar ke seene ko dhoondti hai
wo jab se soya ye so na paayi
ghareeb baba ghareeb beti...
thay zakhm shabbir ke badan par
sakina khaati rahi hai pathar
tha wo bhi zakhmi hai ye bhi zakhmi
ghareeb baba ghareeb beti...
sar uska sandooq may rakha hai
rasan may iska gala bandha hai
safar may rehte thay dono qaidi
ghareeb baba ghareeb beti...
nibhaya har ek waada jis ne
uthaaya dono ka laasha jis ne
behan thi uski phupi thi iski
ghareeb baba ghareeb beti...
tha mir sajjad kaisa lamha
jab uske baba ka naam poocha
to hind se ro ke bachi boli
ghareeb baba ghareeb beti...