shabbir ka matam hai ruk na sakega
abbas ka parcham hai jhuk na sakega
sada uncha ghazi ka parcham rahega
isi ke to saaye may aalam rahega
jahan ibne zehra ka parcham rahega
wahan ibne maryam ka sar kham rahega
sada uncha ghazi ka...
hilaale aza ne nikal kar sada di
kamar may hamesha meri kham rahega
sada uncha ghazi ka...
ye kaala ghilaaf aaj bhi keh raha hai
haram may hamesha moharram rahega
sada uncha ghazi ka...
jise apni raahein badalna ho badle
julooson ka rasta to mohkam rahega
sada uncha ghazi ka...
chale jao rubaahon se bole ghazi
bas is taraayi pe zaigham rahega
sada uncha ghazi ka...
bada mohtabar aab e zam zam hai maana
magar ashk e majlis muqaddam rahega
sada uncha ghazi ka...
yahan kooze bharti mashke sakina
sabeelon pe pani kahan kam rahega
sada uncha ghazi ka...
sada chashme momin barasti rahegi
hamesha moharram ka mausam rahega
sada uncha ghazi ka...
rahe na rahe saari dunya may koi
magar ibne zehra tera gham rahega
sada uncha ghazi ka...
kaha sheh ne akbar ka laasha utha kar
hamari kamar may sada kham rahega
sada uncha ghazi ka...
ali dekh kar bole ghazi ko sajjad
tere haath may mera parcham rahega
sada uncha ghazi ka...