utha jo koi janaza hussain yaad aaye
jo dekha koi bhi pyasa hussain yaad aaye
churi chalaane se pehle kisi zabeehe par
jab usko pani pilaaya hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
wo jis ka koi bhi waaris nahi tha dunya may
kafan jab usne bhi paaya hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
kisi yateema ko mayyat se uske baba ki
jo pyar kar ke hataya hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
nazar may phir gaya kadiyal jawan ka laasha
kisi ne baandha jo sehra hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
jawan bhai ke laashe ko ek bhai ne
jo ro ke seene lagaya hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
khushi kahan hui sghra ka dard aur badha
jo chand eid ka dekha hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
pakad ke baap ka daaman kisi bhi bachi ne
na jaye baba jo bola hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
mera pisar hua jis roz cheh mahine ka
bataun kaise mai kitna hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
lipat lipat gayi turbat se saani e zehra
bani jo qabr e sakina hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...
hamesha karbobala ke safar pe ay sajjad
galay jo maa ne lagaya hussain yaad aaye
utha jo koi janaza...