Kanz e Aza

Hussain Zindabad

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

dono jahan mein dhoom hai

dono jahan mein dhoom


hussain zindabad hussain zindabad


ek din mein wo kamaal kiya hai hussain ne

sadiyon ka dil bahaal kiya hai hussain ne

hussain zindabad hussain zindabad

hussain zindabad


insaniyat ko phir se ata ki nayi hayaat

khanjar ke neeche rakhli habeebe khuda ki baat

ye aur baat apni luta di hai kayenaat

kaabe ko maala maal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


aisa sharaf jahan mein baksha hai jaun ko

mud mud ke ambiya ne bhi dekha hai jaun ko

apne karam se itna nawaza hai jaun ko

haa rutba e bilaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


kya sochta hai daaman e aqdas ko thaam le

darbar mein na inke takalluf se kaam le

aulaad chaahiye to dua e imam le

raahib kise nidhaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


pesh e kirdagaar na ho phir se surkh roo

ran mein kiya hai khoon se baysheer ke wazoo

teeron pa ho namaz ke naizon pa guftagoo

har kaam bemisaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


utho hussainiat ka jahan ko payam do

dunya ko har mahaas pa dars e imam do

apne lahoo ke pyason ko pani ka jaam do

dushman ka bhi khayaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


asghar ko jalti rayt pa choda hai karbala

jaane sukoot e zulm ko toda hai karbala

insaan ka zameer jhinjhoda hai karbala

pani ka kab sawaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


seene mein ghut ke mar gayi hasrat yazeed ki

har ek ko bata di haqeeqat yazeed ki

sakte mein pad gayi hai hukumat yazeed ki

bayyat ka aisa haal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


batla raha tha dasht mein hamla imam ka

charon taraf tha rob mujahid ke naam ka

milta nishan tak na kahin fauj e shaam ka

bas paas e zuljalaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...


mil kar bhi gar saara jahan zulm dhayega

parde mein jo muqeem hai wo khud bachayega

shiyon ko aamir o akhtar mitayega

khud inko la zawaal kiya hai hussain ne

ek din mein wo kamaal...