hussain zulmaton mein gohar e tabinda hai
ke jiske hone se insaniyat painda hai
sawaar e dosh e risalat ke sar ne naiza par
quran suna ke dikhaya shaheed zinda hai
hussain zulmaton mein...
na pahuncha pani na laasha bhi jaaye qaimon mein
kaneez zaada teri beti sai sharminda hai
hussain zulmaton mein...
sitaare maand hai matam fizayain karti hai
ghame hussain mein maghmoom har parinda hai
hussain zulmaton mein...
udaas rauza nabi rota hai dil sughra ka
shaheed teri shabi hogayi ke zinda hai
hussain zulmaton mein...
jo sar barehna nazar aayi ghazi ko zainab
to sar ne gir ke bataya shaheed zinda hai
hussain zulmaton mein...
na tars bachon pe na paas kalma waalon ka
sipaah e shimr mein najfi har ek darinda hai
hussain zulmaton mein...