ro rahi hai aaj tak shabbir khaak e karbala
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
jab chupaya maine daaman mein tere baysheer ko
zaalimon ne naizon se seena mera chalni kiya
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
thar tharayi khoob peeti aur royi khoob thi
hassan ki bewa ke armaano ka sehra jab luta
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
roo baroo mere huwe thay ambiya par zulm bhi
laasha e akbar tadapta mujhe se na dekha gaya
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
bachon ko ye aas thi ke chacha pani laayega
pani ka na pahunchna ghazi ke dil ko khaa gaya
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
go mai parda ban gayi thi waaris e tatheer ka
khaak sar zainab mein ya rab waqt kaisa aagaya
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
laasha e aun o mohamed par koi waaris na tha
sabr e zainab dekh kar moo ko kaleja aagaya
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...
munkir e sajda e aadam ho ke shaitan hogaya
sajda e shabbir najfi azmat e yazdan hua
go mualla mein hui afsos tu zibha hua
ro rahi hai aaj tak...