Kanz e Aza

Hussaina Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Najaf Murshidabadi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain bazm e jahan ko jaga ke soye hai

chiragh e quwwate baatil bujha ke soye hai

sitam ke qasr ko thokar se dha ke soye hai

udoo ke taygh talay muskurake soye hai

hussaina hussaina haye hussain hussaina


noha tha ye zainab e dilgeer ka

koi nahi sar pe raha aasra

waqt tha ye ahle haram pe kada

ghar bhara ujda chin gayi rida

hussaina hussaina...


dulha ka ran mein hua tukde badan

dekh ke roya kiye shaahe zaman

ho gaya pamaal sheh ka gulbadan

tukde badan tha kaun utha'ta

hussaina hussaina...


aun o mohamad jo gire khaak par

raahe haq mein ho gaye qurban pisar

pahunchi jo qaime mein ye gham ki khabar

maa ne kiya tha shukr khuda ka

hussaina hussaina...


seene pe akbar ke jab barchi lagi

sakht thi boodhe pidar pe ye ghadi

kaandhe pe leke laashe jawan laal ki

thokare khaata qaime mein pahuncha

hussaina hussaina...


rehm kha cheh maah ka bacha hai ye

bano ka bhi sab ka dulaara hai ye

pyaas se gehware mein tadpa hai ye

pani mila na paas tha darya

hussaina hussaina...


nehr pe abbas ke shaane kate

baith gaye shaah kamar thaam ke

zainab o kulsum ne naale kiye

ghazi ka laasha dekh ke roya

hussaina hussaina...


qatl huwe kund churi se hussain

maadar e shabbir ye karti thi bain

kaise mile pyasi sakina ko chain

ahle haram ka tha yehi nauha

hussaina hussaina...


as-salaam ya hussain as-salaam

roze pe ek roz ho uska qayaam

dije najaf ko raza ay imam

ay mere maula ay mere aaqa

hussaina hussaina...