Kanz e Aza

Kaash Abbas Mera

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Najaf Murshidabadi. Lyrics in Roman Urdu.

baade ashoor ye zainab ke labon pe thi sada

kaash abbas mera maara gaya na hota


pyas ke maare tadapti na sakina beti

baap ke kaandhe pe na bete ki mayyat hoti

yun na chalti mere shabbir ki gardan pe churi

is tarha ujda na hota ye gharana mera

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


khelta asghar e baysheer mere aangan mein

haye cheh maah ka bacha nahi jaata ran mein

chid gaya nanha gala teer se uska ban mein

dushmano mein kya koi saahib e aulaad na tha

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


haye maara gaya is dasht mein mera lashkar

qasim o aun o mohamed nahi na hai akbar

turbate asghar e baysheer bana kar sarwar

ashk se marqade baysheer ko sairaab kiya

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


kaun imdad kare aata nahi koi nazar

betiyan jaati hai ahmed ki phirayi dar dar

baaghi keh keh ke chalate hai wo hum par pathar

yun na be-aas mohamed ka na hota kunba

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


sar khule koocha o bazaar phir aayi zainab

be rida shaam ke darbar mein aayi zainab

khoon ke ashk har ek pal hai bahayi zainab

dil mein gham leke bahattar ko hoo zinda bhaiya

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


baap ke seene pe soti thi sakina aksar

ab meinassar hai usay khaak ka takiya bistar

zaalimo kuch to taras khao meri bachi par

baap ki laadli hai baap ki shafqat se juda

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


chal basa mursale aazam ka gharana saara

haye zaalim ne sakina ko tamacha maara

bibiyan peet ke sar dene lagi ye naara

ghair hai charon taraf koi nahi hai apna

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


kis mein himmat thi mere baandta baazu mein rasan

noke naiza pe nahi hota sar e shaahe zaman

kitne khush haal raha karte thay hum apne watan

ye to acha hua karbal mein na aayi sughra

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


akbar o asghar e baysheer na maare jaate

ek ek karke na nana ke dulaare jaate

sab mere saath watan aaj hamare jaate

haye zindan mein na rehti sakina tanha

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...


sunke karbal mein najaf zainab e muztar ka bayan

shaah ke laashe se bhi hone lagay ashk rawan

nehr pe tadpa udhar laasha e abbas e jawan

ashke afshan huwe matam mein idhar ahle aza

kaash abbas mera...

baade ashoor ye...