maine ay sughra andheron se rifaqat kar li
qaid e zindan may sakina ye sada deti thi
jabse baba ka behan seena hua mujhse juda
mar gayi seene may umeed mere jeene ki
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
neele rukhsar tere hote behan meri tarha
ye to acha hi hua tum na yahan par aayi
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
meri awaaz bhi hai meri tarha qaid may ab
bas isi tarha se ab qaid may mar jaungi
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
neend jab aati nahi qaid e sitam may khwahar
loriyan yaad bahot aati hai mujhko maa ki
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
garche khaaliq ki har ek shay hai mujhe yaad magar
roshni cheez hai kya ab to yahan bhool gayi
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
tum ko mai dukhda sunaungi gale se lag kar
qaid se jald rihaai ki ho surat sab ki
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
ab to zindan ki tareeki ka hai saath mera
roshni yaad nahi ab mujhe madine ki
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
ab mayassar hai mujhe khaak ka takiya bistar
chain ki neend madine may mujhe aati thi
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
apne hi qadmon ki aahat se seham jaati hoo
is khadar hai dar o deewar se wehshat taari
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
din bhi rehta hai yahan chadare zulmat odhe
kya bayan shab ke andhere ka kare yan koi
maine ay sughra...
qaid e zindan may...
khushk lab yaad sakina ke mujhe aaye najaf
qalb do paara hua aagayi ankhon may nami
maine ay sughra...
qaid e zindan may...