Kanz e Aza

Majboor Hoo Behna

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

majboor hoo behna tumhe dafna nahi sakta

qaidi hoo sakina mai kafan laa nahi sakta


laasha mai akele hi uthaunga tumhara

ghairon se tera laasha mai uthwa nahi sakta

majboor hoo behna...


lachaar hai sajjad se kyun rooth gayi tum

beemar gohar aap ke dilwa nahi sakta

majboor hoo behna...


tum qabr mein aaram karo bali sakina

ab saath mai ghar leke tumhe jaa nahi sakta

majboor hoo behna...


behna inhi kapdo mein tumhe dafn karunga

majboor hoo nanha sa kafan laa nahi sakta

majboor hoo behna...


abbas chacha aao sakina ko manao

mai leke usay aap ke paas aa nahi sakta

majboor hoo behna...


taboot uthane ko na akbar hai na abbas

mai ehle watan ko yahan bulwa nahi sakta

majboor hoo behna...


mai kaise khabar doo tere marne ki padar ko

wo aa nahi sakte mai wahan jaa nahi sakta

majboor hoo behna...