raahe hussaini par jo insan chalta nahi
zinda reh kar bhi wo insan zinda nahi
hubbe aale mohamed mein jo mar jaaye
to wo mar bhi jaaye agar to marta nahi
mam maata aala hubbe aale mohamed
maata shaheeda
aale nabi ki ulfat mein logon
jo mar gaya wo marta nahi hai
hai haq ka waada aur sacha waada
usko khuda khud rakhta hai zinda
mam maata aala hubbe...
matam to hoga matam to hoga
har simt hoga har ghar mein hoga
roze azal se roze abad tak
zehra se hai ye khaaliq ka waada
mam maata aala hubbe...
hai karbala ki awaaz paiham
apna hai rehbar ghazi ka parcham
har matami ka jazba to dekho
ghazi ka parcham girne na dega
mam maata aala hubbe...
muslim habeeb o john aur haabis
shabbir ke sab be-misl naasir
jab ladte ladte maidan mein girte
sab ke labon par tha ek naara
mam maata aala hubbe...
haye wo qasim haye wo asghar
abbas e ghazi haye wo akbar
ro ro ke un par hum jaan denge
poora karenge hum apna waada
mam maata aala hubbe...
jab bhi shahadat paata hai koi
shabbir usko aate hai lene
aansu baha kar khud shaah e deen ko
deta hai pursa karbobala ka
mam maata aala hubbe...
hum rone waale karbobala ke
darte nahi hai jor o sitam se
gardan katayi baazu kataye
lekin na choda gham karbala ka
mam maata aala hubbe...
ay meri maaon ay meri behno
darna nahi tum daur e sitam se
sughra ke gham se laila ke gham se
bad kar nahi koi gham hamara
mam maata aala hubbe...
maajid ye likh kar sab ko bata do
ay shadman tum sab ko suna do
hum matami hai shaah e huda ke
mar kar bhi hum to rehte hai zinda
mam maata aala hubbe...