Kanz e Aza

Muslim ka Tha Ye

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

muslim ke pisar haye kufe may bhatakte hai


kufe may tahe khanjar muslim ka ye nauha

bachon ko mere unki maadar se mila dena


tum log to sab mil kar kal eid manaoge

bachon ko bhi tum apne seene se lagaoge

mil jaaye mere bete to un pe taras khaana

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


mazloom hoo khud mai bhi mazloom hai wo dono

kamsin bhi hai wo dono masoom hai wo dono

un ko to madine ka maloom nahi rasta

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


jallaad chalata hai khanjar meri gardan par

phekega bulandi se wo mera tan e laaghar

tum log ghaseetoge galiyon may mera laasha

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


latkega mera laasha darwaza e kufa par

mere tan e besar par barsayenge sab pathar

kya guzri hai baba par bachon ko na batlana

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


jis waqt sar e kufa sadaat e haram pahunche

awaaz ye aati thi us laasha e besar se

mai muslim e tanha hoo lo mere salaam aaqa

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


tab zauja e muslim ne laashe se kaha ro kar

jo aap pe guzri hai zaahir hai wo sab mujh par

phat'ta hai jigar mera jab sunti hoo ye nauha

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


ummat ne udhar lekin bachon pe sitam dhaaya

haa saamne bhai ke bhai ka gala kaata

masoom ki gardan ka khoon rayt pe girta tha

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


muslim ka tan e besar khayncha gaya kufe may

yan bhaiyon ke laashe phaynke gaye darya may

mohtaj e kafan bache mohtaj e kafan baba

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...


wo masjid e kufa ho ya shehr musayyab ka

baba hai udhar tanha bache hai idhar tanha

mukhtar aur ay majid ye goonjta hai nauha

bachon ko mere unki...

kufe may tahe khanjar...