muslim ke pyare bachon ka sar tan se kat gaya
darya mein jaake laashe se laasha lipat gaya
haaris ne haye zulm wo dhaya furaat par
bachon ke haath baandh ke laaya furaat par
utri saron se topiyan daaman bhi phat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
bache tadap kar kehte thay hum kaam aayenge
mehshar mein tujhko nana se hum baksh wayenge
allah baksh dega jo wapas palat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
tauseef o hamd karne de us be niyaz ki
mohlat zara si de de hamein tu namaz ki
phir kis tarha jhukayenge hum sar jo kat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
aa kar hamein bacha le jo aisa koi nahi
aaghosh mein chupa le jo aisa koi nahi
chamki jo taygh bachon ka dil gham se phat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
jaise hi taygh halq pe ek bhai ki chali
tharraya aasman zameen kufe ki hili
dekha jo chote bhai ne to dum ulat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
maadar ko kuch khabar hi nahi kya guzar gayi
baba ki laash kufe ki galiyon mein hai padi
aabaad ek ghar tha jo tukdo mein bat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
royi hawaye jinn o malak royi kayenat
naizo uchal uchal ke tadapta raha furaat
chaaya jo tha ghubaar wo lamho mein chat gaya
muslim ke pyare bachon ka...
ainee labe furaat qayamat ka tha samaa
aamir wo chote bhai ki faryad al amaan
sar dekhte hi dekhte uska bhi kat gaya
muslim ke pyare bachon ka...