na bhoolne dengi na bhoolne dengi
dunya ko faramosh yun karne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab kabhi marne nahi dengi
parcham mai teri fatha ka lehra ke rahungi
ghar ghar mein tera naam mai pahuncha ke rahungi
aankhon ko kabhi ashkon se bharne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
baatil se kabhi haq ka wali dar nahi sakta
waada hai mera mar ke bhi tu mar nahi sakta
khursheed e imamat kabhi bujhne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
mar jaaye mera laal fida ho mera akbar
allah ki is raah mein lut jaaye bhara ghar
asghar ko bhi ab maut se darne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
rutba jo tera hai wo kabhi ghat nahi sakta
jeete ji mere naam tera mit nahi sakta
parcham tere inkaar ka jhukne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
ab naala o shewan bhi na ghabra ke karungi
matam tere qatil ke hi ghar jaa ke karungi
bayyat ka kabhi naam bhi utne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
ek ek ko sunaungi teri tashna dahani
paaya na mere bhai ne do boond bhi pani
hal min ki sada ab kabhi dabne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
bhaiya mai bandhe haathon se ye kaam karungi
ek ek musibat mai teri aam karungi
dil soz shahadat teri chipne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
hai meri rasaayi meri awaaz jahan tak
pahunchaungi mai ab tera paigham wahan tak
is rang e azadari ko ghatne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab...
aamir ye azadaar hai zainab ki dua se
ainee ye sada aati hai har farshe aza se
matam kabhi mazloom ka rukne nahi dengi
bhaiya tujhe zainab....