Kanz e Aza

Nahi Tha Kuch Bhi

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

nahi tha kuch bhi hussain tab hai


quran jis ko qadar hai likhta

hussain logon wohi to shab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


wo jiske nana ki jutiyon ka

tawaf karte ho farishte

wo jiske dada ke zer e saaya

rasool e haq aur imam palte

koi to dikhlao is jahan mein

ke jiska aisa hasab nasab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


mere khayalon ki inteha se

hussain ki ibteda hui hai

sha'oor o fiqr o nazar ke daaghon

se jiski basti badi hui hai

hussain tum ko samajh mein aaye

qasam khuda ki bahot ajab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


wo jiske tewar khuda ke tewar

wo jiski bakshish khuda ki bakshish

bahishton uski khushi ke peeche

wajood e dozakh ho jiski ranjish

na khaufe dozakh na shauke jannat

hussain ki bas hamay talab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


wo jo ke baad'az khuda hai sab se

azeem izzat ye bhi badi hai

hussain ki maa ko dekh kar wo

rasool tazeem mein khade hai

rasool e aazam pe jiski maadar

ka dekho wajib hua adab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


sina ko doshe nabi samajh ke

namaz e wehdat ada kare jo

yazeediyat ke bhawar ke aage

chataan ban ke utha kare jo

hayaat e deen e khuda ka sunlo

hussain ibne ali sabab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


ye adl e parwardigar e aalam

ki ek ajab si ada hai dekho

khuda ne sab kuch diya hai jisko

usi se sab kuch liya hai dekho

khuda to khaliq hai imtehan ka

hussain sabr o raza ka rab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...


faraat ki har leher nidamat

se pani pani hui salamat

hayaat e kausar ki kar rahi thi

rawani e alqama tilawat

sairaab jis ne kiya hai deen ko

wo ibne zahra to tashnalab hai

hussain kaise kahan o kab hai

nahi tha kuch bhi...