Kanz e Aza

Nala Balabe Zainab

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mohsin Shakeeb. Lyrics in Roman Urdu.

nala balabe zainabe lachaar hussaina

maujood hai asbaab na ansar hussaina

hai charo taraf narghae kuffar hussaina

faryad nahi koi madagar hussaina


ab koi nahi sab mahe anwar gaye maare

saaath aaye thay jitne wo dilawar gaye maare

hamshakle mohamad ali akbar gaye maare

soya hai labe nehr alamdar hussaina

nala balabe zainabe...


jo margaye unpe bhi ajab zulmo jafa hai

ya dhoop hai ya khaak ya maqtal ki hawa hai

mazloomon ke laasho pe na saya na rida hai

wa hasrata wa aalame dara baar hussaina

nala balabe zainabe...


ye saath thay ammo he giran sham e ghariban

aur sehme hue ahle haram dard badama

zaqmo pa namak pashi ka hone laga saaman

ab koi nahi muniso ghamkhar hussaina

nala balabe zainabe...


kya azm tha ghurbat mein bhi ay saniye zehra

bacho ko sambhala kabhi bewa'on ko dekha

sajjad ko baqar ko sakina ko sulaya

maujood hai akbar na alamdar hussaina

nala balabe zainabe...