Kanz e Aza

Nana Mai Jaa Raha

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

nana mai jaa raha hoon


kata ke sar deen ko bachane

mai jaa raha hoon


katenge baazu bhi bawafa ke

chununga ibne hassan ke tukde

jawan bete ki laash uthane

mai jaa raha hoon

nana mai jaa raha hoon..


namaz tujhko karegi sajda

mai aisa sajda adaa karunga

lahoo se khaake shifa banane

mai jaa raha hoon

nana mai jaa raha hoon..


yazeed mujhse ye poochta hai

bata ana min hussain kya hai

usi ko ye silsila batane

mai jaa raha hoon

nana mai jaa raha hoon..


wo mere seene pe sone waali

meri sakina hai meri pyari

usi ko zindan mein sulane

mai jaa raha hoon

nana mai jaa raha hoon..


jo mere baba ki laadli hai

jo ghar mein paidal nahi chali hai

usi behen ki rida lutane

mai jaa raha hoon

nana mai jaa raha hoon..