aayi jo chut ke qaid se zehra ki laadli
aakar mazaar e ahmade mukhtar par giri
baalon ke rang se hi zaeefi thi aashkaar
kehti rahi ghamon ki satayi ye baar baar
nana suno sunaungi maqtal ki dastan
qabre nabi pe zainabe muztar ka tha bayan
nana mai kuch hi door khadi dekhti rahi
sukhe galay pe bhai ke chalti rahi churi
naiza layeen dikha ke daraate thay nana jaan
nana suno sunaungi...
jite jee le na paayi wo ek saans chain ki
nana yateem ho gayi beti hussain ki
hadh to ye hai ke cheeni gayi uski baaliyan
nana suno sunaungi...
nana suno wo chota sa baccha hussain ka
ghutno ke bal bhi chalne ke qabil nahi raha
pyasa hi haye mar gaya le le ke siskiyan
nana suno sunaungi...
nana hamare aun o mohamed nahi rahe
nusrat mein shaahe waala ki dono hi mar gaye
toota hua hai dil pe masayeb ka aasman
nana suno sunaungi...
paala tha jisko naazon se athara saal tak
nana lahoo mein doob gaye uske baal tak
seene mein aise maari thi zaalim ne barchiyan
nana suno sunaungi...
sajjad ke siwa koi mardon mein tha nahi
behre madad bulaati kise khwahare hazeen
abbas e bawafa bhi nigahon se tha nehan
nana suno sunaungi...
nana suno wo shaam e ghariban ki dastan
har simat dikh raha tha nigahon ko bas dhuan
bikhraye baal khaak pe baithi thi bibiyan
nana suno sunaungi...
ek ek kar ke saare jalaye gaye qayaam
us mein pada hua tha mera waqt ka imam
bekas yateem e abid e bemaar e natawan
nana suno sunaungi...
qabre nabi laraz gayi zainab ke sun ke bain
kaise milega aamir o farhan dil ko chain
lagta hai dil mein toot gayi dard ki sina
nana suno sunaungi...