nana teri zainab ne wo dard uthaye hai
zaalim ka zulm dekha aansu nikal aaye hai
mai shaam ki galiyon se sar nange guzar aayi
nana teri ummat ne din ye bhi dikhaye hai
nana teri zainab ne…
pathar jo baraste thay zehra ke gharane par
is haal pe suraj ne khud ashk bahaye hai
nana teri zainab ne…
ye khoon bhara kurta hai tere nawase ka
bhai ki nishani hum tere liye laaye hai
nana teri zainab ne…
gham kha gaya zainab ko nana ali akbar ka
mat poocho watan mein hum kis tarha se aaye hai
nana teri zainab ne…
zindan ke andhere mein neend aayi sakina ko
hum qabr sakina ki wahan chod ke aaye hai
nana teri zainab ne…
saughat-e-safar nana pardes se hum qaidi
ye neel rasan ke hai jo shano pe laaye hai
nana teri zainab ne…