Dhal Gaya Suraj Shamma Jali
nanha Mera Asghar Kaha Gaya
bano Pukari Kook Jali
nanha Mera Asghar Kaha Gaya
1. Waqt E Madad Hai Mushkil Kusha
mushkil Karo Hal Behre Khuda
tum Hee Batado Moula Ali
nanha Mera Asghar Kaha Gaya
2. Teri Zameen Par Aye Karbala
gum Hogaya Hai Bacha Mera
dhundhe Kaha Ye Maa Diljali
nanha Mera Asghar Kaha Gaya
3.tu Hee Bata De Aye Hurmula
cheda Hai Kyu Tune Nanha Gala
doobi Hai Khoon Me Nanhi Kali
nanha Mera Asghar Kaha Gaya
4. Raat Andheri Sunsaan Ban
dhundhu Kaha Tujhe Ghunchadahan
roro Pukari Madar Yehi
nanha Mera Asghar Kaha Gaya
5. Jungle Me Kis Jaa Tu Khogaya
jhula Hai Khali Aye Mailaqa
kis Ko Jhulaye Maa Ab Teri
nanha Mera Asghar Kaha Gaya