nanha sa ek sipahi godi me aa raha hai
ghurbat ka bekasi ka baadal sa cha raha hai
sab kat gaye mujhaid qaimo me kya raha hai
nanha sa ek....
quddariyo se lab par aahe'n tehar gayi hai
ruk ruk gayi hai saanse'n , nabze'n tehar gayi hai
tehra hua wo jhoola kya dil hila raha hai
nanha sa ek....
kaisi luti hai basti kaisi miti hai jaane'n
kya shukr kar rahi hai sookhi hui zubaane'n
kya sabr bad raha hai kya zapt chaa raha hai
nanha sa ek....
sattar ki maut dekho aur do pahar ko dekho
asghar ke sin ko dekho uske jigar ko dekho
jo dashte karbala me daulat luta raha hai
nanha sa ek....
aise kahi'n sipaahi dekhe nahi aneele
maa ki taraf se koi ruq ki balaye'n lele
pehle pahal mujaahid maida'n ko jaa raha hai
nanha sa ek....
ye zindagi ki pehli karwat hai raas aaye
shabbir la rahe hai ghar se gale lagaye aur maut ka firishta aankhe'n bicha raha hai
nanha sa ek....
nanha sa ye musaafir dehkho rahe riza ka
tareeq usko faateh likhengi karbala ka
jhoole ko chod kar jo maqtal basa raha hai
nanha sa ek....
saare jahan se kehdo kaun o makan se kehdo
ye roohe karwa'n hai har karwa'n se kehdo
pyasa hai teen din ka aur teer kha raha hai
nanha sa ek....
sajjad ki shabaahat akbar ki shaan hota
ay maut kaash aisa bacha jawan hota
do din ki zindagi me tewar dikha raha hai
nanha sa ek....