Khanjar Gale Pe Chal Gaya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
1. Ghode Se Gir Ke Shah Ne Zahra Ko Di Sada
girta Hu Mai Zameen Par Do Aake Aasra
beta Tadap Ke Rahgaya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
2. Ek Sakht Imtehaan Tha Sajda Hussain Ka
laasho Ke Darmiyaan Tha Sajda Hussain Ka
waada Wafa Yu Hogaya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
3. Khanjar Laeen Ka Dekhke Zahra Ne Di Sada kyu Karraha Hai Zibha Tu Bejurmo Bekhata
kya Zulm Tu Ne Kardiya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
4. Sukhe Huwe Gale Par Rawaa Khanjar E Shaqi
thaame Huwe Kaleje Ko Maa Dekhti Rahi
sar Jism Se Juda Huwa Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
5. Zainab Tadap Ke Qaime Se Maidaan Me Aagai
bhai Ke Sar Ko Dekh Ke Kehti Thi Ya Ali
beta Tumhara Margaya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
6. Ghurbat Ki Shaam Aate Hee Veerani Chah Gai
khaimo Ki Aag Dekhke Roti Thi Bekasi
ek Ek Qaima Jalgaya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
7. Cheeni Gai Ridaye To Roti Thi Bibiya
zaalim Ne Khaichi Baali Sakina Ki Baaliya
ye Kaisa Zulm Hogaya Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne
8. Jab Sar Kata Hussain Ka Roti Thi Bekasi
bibi Ne Dekha Kis Tarah Manzar Wo Haashimi
zainab Ke Lab Pe Nauha Tha Zahra Ke Samne
sar Kat Gaya Hussain Ka Zahra Ke Samne