Kanz e Aza

Sehra e atash may zehra ka pisar hai

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Sehra e atash may zehra ka pisar hai

allah tabahi ye kisi ghar pe na aaye

hai kaun jo is waqt musibat se bachaye

shabbir ki tanhai pe zainab ki nazar hai


sehra e atash may....


qasim hai na akbar hai na abbas e dilawar

hadh hogayi maare gaye cheh maah ke asghar

sau daagh hai ek dil pe ye sarwar ka jigar hai


sehra e atash may....


bas dekhte hi dekhte barbaad hua ghar

naazon ke pale sogaye aqtal ki zameen par

hyder ki duaon ka samar khoon may tar hai


sehra e atash may....


bewon ko yateemo ko kare kiske hawale

aafat may giraftaar hai sab kisko sambhale

abbas sa bhai hai na akbar sa pisar hai


sehra e atash may....


hai asr ka hangaam ghata zulm ki chaayi

sheh kehte thay ro ro ke huo sab se judaai

awaaz kise doo mere ghamkhar kidhar hai


sehra e atash may....