Pyaas Ne Islam Ke Parcham Ko Oocha Kardiya
01. Su-e-darya Ruq Na Karna Pyas Me Hai Ek Kamal
inteha E Tashnagi Seh Kar Gaye Zainab Ke Laal
boli Rooh-e-laafata Pyare Nawaso Marhaba
pyaas Ne Islam Ke Parcham Ko Oocha Kardiya
02. Karbala Me Pyas Ki Shiddat Ki Ek Shaadi Rachi
shaadi Ghurbat Me Huwi Taaza Dulhan Bewa Huwi
raahe Haq Me Jaan Di Naushaah Qurbaan Hogaya
pyaas Ne Islam Ke Parcham Ko Oocha Kardiya
03. Dushmano Ne Kardiye Abbas Ke Shaane Qalam
phir Bhi Baatil Kar Nahi Paaya Nigu Haq Ka Alam
dekhiye Aijaz Ye Shah Ke Alambardar Ka
pyaas Ne Islam Ke Parcham Ko Oocha Kardiya
04. Seena E Akbar Se Khainchi Shah Ne Barchi Ki Ani
shukre Haq Tab Bhi Kiya Beenayi Jab Rukhsat Huwi
shah Ne Raahe Haq Me Jauhar Sabr Ka Dikhladiya
05. Allah Allah Che Mahine Ke Jari Ka Hausla
teer Khaker Jaise Hee Besheer Ghazi Has Pada
tashnagi Ke Dasht Me Gunji Ye Haatif Ki Sada
pyaas Ne Islam Ke Parcham Ko Oocha Kardiya