Kanz e Aza

Pyare Nabi ka Pyara

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Najm Afandi. Lyrics in Roman Urdu.

pyare nabi ka pyara nawasa

maara gaya hai raahe khuda mein


darya kanare do din ka pyasa

maara gaya hai raahe khuda mein


ye karbala ki mehman nawazi

ye kufiyon ki hangama saazi

aisa mujahid aisa namazi

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


karbobala mein yasrab se aa ke

bhatke huwon ko rasta bata ke

insaniyat ka paigham laa ke

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


ek ek wafa ke paikar ko le kar

akbar ko le kar asghar ko le kar

humraah apne ghar bhar ko le kar

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


wo hal ataa ke ghar ka ujaala

jo la fataah ki godhi ka paala

taqdees waala tatheer waala

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


chehre ke kaisi tabindagi hai

mazloomiyat ki paaindagi hai

laashe se paida kya zindagi hai

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


ahle haram ke dil hai niraale

baithe huwe hai kya gham sambhale

ab reh gaye hai sab rone waale

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


basti se keh do sehra se keh do

khushki se keh do darya se keh do

mazloom hai wo dunya se keh do

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...


ay najm dekho ye haq numeini

allah is ke gham ki rasaayi

bardaasht na hai saari khudaai

maara gaya hai raahe khuda mein

pyare nabi ka...