pyasa raha jaan e nabi
ay waye nehre alqama
uth'ti rahi mauje teri
ay waye nehre alqama
wo khushk lab sookha gala
sher e khuda ki aal ka
wo tere honton par tari
ay waye nehre alqama
toofan uthana tha tujhe
ya sookh jana tha tujhe
kuch tum ne khidmat hi na ki
ay waye nehre alqama
ek mashk pani le liye
abbas ke shaane kate
nadhi lahoo ki beh gayi
ay waye nehre alqama
doobe lahoo mein yak qalam
kya kya ghiza-laane haram
dekhi ye kashti doobti
ay waye nehre alqama
ek chadar e aabe rawan
odhe hue tu nauhakhwan
zainab ki ye be-chadari
ay waye nehre alqama
qabze mein tere aab ho
aur pyaas se betaab ho
sheh ke chaman ki har kali
ay waye nehre alqama
ashq e sakina beh gaye
moo dekhte sab reh gaye
tu aur teri daryadili
ay waye nehre alqama
yeh kaunsa dastoor tha
mehmaan kitni door tha
kya paon mein zanjeer thi
ay waye nehre alqama
qaima rahe shabbir ka
yun dhoop mein jalta hua
saahil pe ho fauje shaqi
ay waye nehre alqama
hasrat ki ek tahteer thi
khud tere dil par teer thi
jo mauj uthi aisi uthi
ay waye nehre alqama
aata hai usko yaad jab
wo karwaan e tashnalab
hai najm ka nauha yehi
ay waye nehre alqama