qaimon ko jalaya gaya abbas na aaye
maqtal mein dhuaan cha gaya abbas na aaye
maqtal ki zameen par jo sitaron ki tarha thay
wo laashe jo quran ke paaron ki tarha thay
un laashon ko ronda gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
thay bain sakina ke mai ab kis ko bulaun
rukh par ye tamachon ke nishan kis ko dikhaun
chehra mera sonha gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
zainab ne yateemon ko kabhi khud ko sambhala
jalte huwe qaime se bhatije ko nikaala
dil dard se ghabra gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
zainab ne kaha mujhpe chale tanz ke nashtar
jis waqt utaari gayi sar se mere chadar
khud mujhse ye poocha gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
aayi thi badi shaan se zainab ki amaari
jaati hai suye shaam aseeron ki sawari
zainab ko rulaya gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
durron ke sitam abid e bemaar se poocho
kehte hai kise qaid giraftar se poocho
kaanton pe phiraya gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
pyase rahe atfaal bahaye gaye kooze
pani ke taqaze pe dikhaye gaye kooze
dukhiyon ko sataya gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
sajjad na bhoole kabhi wo shaam ka manzar
sadaat pe maare gaye bazaron mein pathar
sadqa kabhi phaynka gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
wo hashr ka hangaam qayamat ki ghadi thi
be parda behan kursi nasheeno mein khadi thi
darbar sajaya gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
phir shaam dhali qaid mein ghabrayi sakina
rukh suye falak kar ke ye chillayi sakina
har ek parinda gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...
phir aamir o nayyar wohi mehshar ki ghadi hai
sughra se phupi kaise kahe soch rahi hai
kunba tera ghar aa gaya abbas na aaye
qaimon ko jalaya gaya...