Kanz e Aza

Qatl hue abbase ali wawaila

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Qatl hue abbase Ali waawaila, teghe sitam shaano'n pa chali waawaila

Mashq chidi sab beh gaya paani, pyasi rahi godo'n ki pali waawaila

Gurze sitam sar par khaaya waawaila, Bhai ko sheh ke ghash aaya waawaila

Pushte faras par tham na saka tyora ke gira farzande Ali waawaila

Ediya ragdi rethi par waawaila, aaye qaree'n sab baanie shar

Di ye sada zahra ke pisar ko ya shahe waala jaan chali waawaila