hogaya matam bapa qatl huwe murtaza
kulsoom yehi karti thi noha
ghar fatema zehra ka luta
ay mere allah
jibreel ke lab par hai yehi bain hai matam
ay logon karo hyder e karrar ka matam
markhad mein buka karti hai masooma e aalam
zainab ye buka karti hai lachaar hoo be-ham
sab bibyan ghash khaate hai gham se
fizza ke labon par ye sada
ay mere allah
hogaya matam bapa...
pahunchi ye sada arsh e khula se zameen par
shabbir se shabbar ne kaha haye baradar
taaza hai kaleje mein abhi furqat e maadar
lo baap ka saaya bhi utha haye muqaddar
awaaz hai ye karbobala ka
dil roke yehi kehne laga
ay mere allah
hogaya matam bapa...
dete hai sada masjid e kufa mein namazi
lo hum se juda hota hai kaunain ka ghazi
zakhmi hui sajde mein jabeen sher e khuda ki
kaaba bhi buka karta tha mehrab e azan bhi
har ek namazi ki sada hai
ye to hai alam hum pe gira
ay mere allah
hogaya matam bapa...
dil thaam ke karti hai buka zainab e muztar
ye taygh e jafa kisne chalayi hai padar par
hasnain se kehti hai khabar lao to ja kar
logon ki buka sunke tadapti hai ye khwahar
ye naala o shehwan ki sada hai
hoti hai mere dil pe jafa
ay mere allah
hogaya matam bapa...
hal qissa juhin laal pisar zakhmi padar ko
sarwar ne kaha zainab o kulsoom se aao
tar khoon mein baba ki jabeen hoti hai dekho
faryad behan karne lagi thaam ke dil ko
kya daaghe yateemi mai sahungi
ye gham hai qayamat se bada
ay mere allah
hogaya matam bapa...
jarraah ko bulwayo ye sarwar ke sukhan ke
wo aake mere baba ke is zakhm ko dekhe
thi zehr mein doobi hui talwar suna hai
ye zehr kahin daaghe yateemi na dikha de
jarraah ne jab zakhm ko dekha
sar peet ke karta tha buka
ay mere allah
hogaya matam bapa...
ekeesvi ramzan qayamat ki sehar thi
koofe mein sada goonj uthi haye ali ki
ghash khane lagi gham se yadullah ki beti
beton ne janaze ko utha kar ye buka ki
ab kaun raha sar pe hamare
baba ka janaza bhi utha
ay mere allah
hogaya matam bapa...
mazhar wo masayab to raqam ho nahi sakte
jo hyder o safdar ke maqatil mein likha hai
ek samt se taboot uthaye thay farishte
ek samt se beton ne uthaya tha ye kehke
is gham ka madawa nahi koi
jo aaj yateemon ko mila
ay mere allah
hogaya matam bapa...