Kanz e Aza

Roti Hai Ali Zaadi

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zair Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

roti hai ali zaadi baba ke janaze par

band aankhon se rote hai har bain par khud hyder


maa chod gayi pehle ab chod chale tum bhi

ab tak mai nahi bhooli jalta hua baba dar

roti hai ali zaadi...


ye kufe ki galiyon may hyder ka janaza hai

ya mehmil e zainab hai ye shaam ke raste par

roti hai ali zaadi...


hasnain ke rone ki chayi hai sada har soo

sab dekhte hai baba ro ro ke tera bistar

roti hai ali zaadi...


har roz musalle par dhoondungi tujhe baba

dekhungi bhala kaise ujda hua apna ghar

roti hai ali zaadi...


ashoor ke din baba pehchan sakay mujhko

phailaya hai baalon ko ye soch ke chehre par

roti hai ali zaadi...


kohraam hua barpa us waqt janaze par

ruqsat ki ijazat di zainab ne jo khud aa kar

roti hai ali zaadi...


ehsaas yateemi ka kehta hai mujhe baba

zaalim se bacha paye beti ye teri chadar

roti hai ali zaadi...


zaair yehi legti tha taboot hai shaane pe

maula ki shahadat ka likhta tha mai jab manzar

roti hai ali zaadi...