Tamheed :-
Rasool-E-Paak Nabi-E-Khuda Salaam Alaik
Ae Tajdaar-E-Saf-E-Ambiya Salaam Alaik
Salaam Khalq Ke Aaka Pe Ek Fidaai Ka
Salaam Aap Pe Is Gham Naseeb Bhai Ka
Ali Hoon Aap Ne Apna Wasi Kaha Jisko
Ali Hoon Aap Ne Saupi Thi Fatima Jisko
Salaam Uski Taraf Se Bhi Kar Raha Hoon Main
Ki Jiske Dard Mein Ghut-Ghut Ke Mar Raha Hoon Main
Wahi Batool Jo Tukda Thi Aap Ke Dil Ka
Abhi Lahad Mein Usi Ko Chhupa Ke Aaya Hoon
Nishan Bhi Uski Lahad Ka Mita Ke Aaya Hoon
Huzoor Dard Ki Shiddat Samajh Rahe Ho Na
Nishan Mitane Ka Maqsad Samajh Rahe Ho Na
Bahot Sataya Hai Logon Ne Meri Zahra Ko
Lahoo Rulaya Hai Logon Ne Meri Zahra Ko
Ab Uski Aankh Mein Hargiz Nami Na Dekhunga
Main Sun Raha Hoon Kai Din Se Siskiyan Uski
Bahot Dino Se Shikasta Thi Pasliyan Uski
Kai Dino Se Madine Mein Ghut Raha Hai Ali
Bas Ek Aapke Waade Pe Chup Khada Hai Ali
Chali Gayi Meri Zahra, Bikhar Chuka Hai Ali
Tadap Raha Hai Magar Sabr Kar Raha Hai Ali
Kathin Hai Ye Imtehan, Mera Jigar Hai Sadme Se Para-Para
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Sitamgaron Ne Hamare Ghar Mein Hamari Zahra Ko Maar Daala
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Main Ghut Raha Hoon, Bikhar Gaya Hoon
Sulag Raha Hai Mera Kaleja
Ye Daag Mar Ke Bhi Mere Dil Se
Ab Hashr Tak Mit Nahi Sakega
Ali Ki Ghairat Pe Sabke Aage
Utha Hai Qunfuz Ka Taziyana
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Khuda Kare Na Ye Waqt Aaye Kisi Bhi Shohar Ki Zindagi Mein
Pade Hain Neele Nishaan Zahra Ke Rukh Pe Haider Ki Zindagi Mein
Gazab To Ye Hai, Suna Hai Maine
Hasan Se Bhi Zikr Is Jafa Ka
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Rahegi Sharmindagi Hamesha Mujhe Hussain-O-Hasan Ki Maa Se
Jo Poochhti Thi Ali Ke Aansu, Gayi Wo Rote Hue Jahan Se
Sitamgaron Ne Hamari Zahra Ko Aakhri Saans Tak Rulaya
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Laeen Ke Pairon Ki Thokaron Ne
Meri Shujaat Pe Chot Di Hai
Magar Ali Ke Khuda Ki Marzi
Ali Ke Jazbaat Se Badi Hai
Meri Nigahon Mein Phir Raha Hai
Batool Ke Qaatilon Ka Chehra
Na Seh Sakega Wo Dard Koi, Rasool Zaadi Ne Jo Sahe Hain
Batool Ki Pasliyon Ke Tukde Mere Kaleje Mein Chubh Rahe Hain
Ali Ki Har Saans Chahti Hai
Batool Ki Siskiyon Ka Badla
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Gaye Hain Do Tukde Kar Ke Mera Jigar Meri Fatima Ke Qaatil
Chhupa Diya Ek Ko Zameen Mein Aur Ek Ki Qabr Hai Mera Dil
Main Apne Mohsin Se Mil Na Paya, Main Uska Chehra Na Dekh Paya
Mujhe Zara Der Tegh Uthane Ki Dijiye Ya Nabi Ijazat
Ali Mein Tauheen-E-Qabr-E-Zahra Ko Dekhne Ki Nahi Hai Himmat
Hai Aakhri Had Pe Zabt Mera, Pata Hai Dushman Ka Sab Iraada
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai
Sadaayein Maatam Ki Aa Rahi Thi Nadeem, Qabr-E-Nabi Se Paiham
Ae Eliya Keh Rahe The Haider, Gawah Rehna Rasool-E-Akram
Tadap Rahe Hain Ali Ke Bachche, Ujad Gayi Hai Ali Ki Duniya
Magar Ali Sabr Kar Raha Hai