sajde may tere sher ne talwaar khaayi hai
hyder jahan se uth'te hai gham ki khudaai hai
ye shor hai fiza may khuda ki duhaai hai
allah se ye kehti thi jannat may fatema
bache mere yateem hue ay duhaai hai
sajde may tere sher ne...
aata nahi hai betiyon ko maut ka yaqeen
zainab pukarti hai ke kya neend aayi hai
sajde may tere sher ne...
abbas ka tadapna na zainab se poochiye
kehta hai bachpana yehi pehli judaai hai
sajde may tere sher ne...
boli hassan hussain se zainab shikast shikast
sunti hoo mere baap ne talwaar khaayi hai
sajde may tere sher ne...
afsos ibne muljim e maloon ki taygh ne
kis tan ko malaal ki soorat dikhayi hai
sajde may tere sher ne...
ekiswi ko uth gaya dunya ka baadshah
mayyat hassan hussain ne kyun kar uthaai hai
sajde may tere sher ne...
jibreel naala zan hai mohamed hai beqarar
sab ambiya ne khaak saron par udaayi hai
sajde may tere sher ne...
ay momino tumhara jo pehla imam tha
usko layeen ne sajde may zarbat lagayi hai
sajde may tere sher ne...
yusuf ka haal rehm ke kaabil hai al-madad
maula e do jahan dam e mushkil kushayi hai
sajde may tere sher ne...